शेर पर हिंदी निबंध। Essay on lion in hindi |
Tiger/lion |
Rahim khan ka gaon jangal ke qareeb tha . is hare bhare gaon me har cheez maojud thi. Subha sawere nanhe parinde (pakshi) Allah ki Hamd gate or murg baange de kr subha ke suraj ko pukarte or jab suraj nikal aata to gaon ( . ) ke log bhi gharo se bahar bahar nikal aate or apne kaam kaaj me masruf (. ) hojate. Kabhi kabhar gaon ( ) ke mahenat kashon ko indhan jalane ke liye jangal me jana padta tha. Magar jangal me khunkhaar Shero ki badaulat hr hr aadmi waha jane se darta tha. Sher aadam khor to na the magar gusse wale bahot the.
Essay on lion in hindi
Buffalo |
((sher par nibandh hindi mein, शेर पर निबंध हिंदी में ,sher par lekh hindi
mein ,शेर पर निबंध इन हिंदी, sher par nibandh))
Kashaf ki 7 bhediya shero ne mil kar khaaye or khub maze liye the. Isi trah sohel ki ek gaaye shero ke hatte chadh gyi or sohel haath malta rah gya. Kuchh shikariyo ko bhi shero ke shikaar ke liye bulaya gya magar jangal ke rakhwale Gidad( . ) or Lomdi(. ) ne Shero ko khabr kardi keh woh apne gufa se kuch roz ke liye bahar na nikle q keh un ki jaan ko khatra hai. Kuch roz shikari mare mare firte rahe magar kuch haath na laga woh sochne lage keh Shero ko Zamin khagyi ya Aasmaan nigal gya. Aakhir ek mahine ki talash ke baad shikari wapas laot gye. Gaon ( . ) walo ne bhi sukh ki saans li keh Sher kahi or chalegye hai magar uske do roz baad hi shero ki faoj ne gaon ( . ) par hamla kiya or jo jo janvar gali muhalle me bandha nazar aaya use chir phaad diya yaha tak keh Rahim khan ki ek laoti gaaye jise woh pyaar se Bittu kaheta tha ,Shero ne use bhi khaliya.
Subha hi subha kashaf ne shor macha diya keh logo ! Bahar aao. . . . sab log aankhe malte hue bahar nikle , apne pyaare janvaro ka yeh haal dekh kar unki aankhe phati ki phati hi rah gyi. Us din Rahim khan bahot roya q keh bittu ko usne bahot laad se pala tha or pure gaon (. ) me woh sab se zyada dudh dene wali gaye thi. Rahim ko kal se hi lag raha tha jaise kuch hone wala hai q keh bittu kuch kuch udaas lag rahi thi or usne thik se chara bhi nhi khaya tha. Pura gaon(. ) Shero ki is daheshat gardi par bahot gusse me tha. Kayi apni banduq ,bhale or neze le kar jangal par hamla aawar hue magar bahot talash ke baad bhi Shero ka kuch pta na mila,shaam hote hi woh sab thak haar kar wapas laot aaye .
Us se agli subha gaon( . ) walo ne dekha keh Rahim khan apne masoom bachche ke saath kuch saamaan uthaye jangal ki traf jaraha hai,gaon walo ke puchne par Rahim ne bataya keh woh khud Shero ko maarega or apni gaaye (. ) ka badla lega. Gaon wale hamdard log the unho ne use mna kiya magar Rahim bahot Ziddi tha keh woh jangal zarur jayega.
Rahim khan ne jangal ke darmiyaan me pahoch kar waha jhaad se apne matlab ki lakdiya ekhatte ki or kuch jhaad ki shankhe tezdaar aari se kaanti. Parinde (. ) ghane jhaad ke andar se Rahim ko dekh rahe the. Or chalaak lomdiyo(. ) ne jhat se yeh khabar shero tak pahochadi
Shaam se pahele pahele Rahim ne ek pinjra tyaar kar liya jis ke do darwaze the. Or sath hi aag laga kar bartan me paani gram karna shuru kardiya or usme usne laal mirchi wagaira phek kar hilaana shuru kar diya. Abhi raak huyi hi thi keh Shero ki dhaade sunayi di. Rahim ne apne bete ko samjha diya tha. Us ka aag ke saath wale ek jhaad par chadh gya jab keh Rahim ne khud ko pinjre me band kar liya.
Achanak traf sar srahat huyi or shero ki aawaz sunayi di. Rahim ne dekha keh 2 sher bahot gusse me use ghr rahe hai or pinjre ki traf badh rahe hai Rahim ne pinjre ke ek traf ka darwaza khula rakha dono sher us khile darwaze ke saamne khade hokar Rahim khan ko ghurte rahe or aankho hi aankho me apne dushman ko tolte rahe. Sher ghurrate hue jaise hi pinjre me gya Rahim ka beta jhaad ke pichhe se bijli ki si trah se nikla or us ne darwaze ko band kar diya or Rahim dusre darwaze se bahar nikal chuka tha. Dono sher pinjre me band ho chuke the. Or dono hi sher pinjre se bahar aane ki koshish kar rahe the. Itne me hi Rahim ne muh se siti ki aawaz nikali to uska beta jald hi ek bartan me kholta hua pani leke aya ,Rahim ne jhaad par chadh kar shero ke upar kholta hua pani jaise hi dala woh tadap uthe or zor zor se dhaadne lage . baar baar gram pani daalne se ek sher to udhar hi mar gya jab keh dusra bhi niche girgya. Rahim ne samhha keh shayad woh bhi mar gya hai. Unho ne dono ko ghasit kar pinjre se bahar nikala or khud pinjre ke andar sukun se sogye . Rahim ne subha uth kar dekha to use maloom hua keh ek sher ki laash wahi hai jab keh dusra gayab hai . Rahim samajh gya keh aaj raat phir sher hamla aavar hoge. Raat hote hi wahi hua , wahi sher apne saath 2 . shee or laya or Rahim par hamla aavar hua magar ab Zakhmi sher pinjre ke andar dakhil nahi hua. Or jaise hi Rahim ke bachche ne sarwaza band kiya , Zakhmi sher bhaag khada hua or baqi 2 pinjre me band hogye. Rahim ne makhsus andaaz me siti bajayi or uska beta gram kholta hua pani le aya or isi trah dusre sher bhi maot ke ghat utar gye. Usse agli subha pure jangal me shero ki maot ka danka bajne laga or har janvar dar gya. Usi raat 2 naye sher or wahi zakhmi sher dubaara aya. Rahim ke bete ne jaise hi unhe dekha zor se siti bajayi jise sunte hi shero ki siti gum ho gyi or woh bhag gye.
Pure gaon me Rahim khan ki siti mash-hoor hogyi. Ab log be dhadak jangal me jate or shero ko dekhte hi siti bajate or sher dum daba kar bhag jaate. Shero ne tang aakar jagah Change kardi or u hi Rahim khan ki bahadru ne shero ko shikast ( . ) de kar sabit kardiya keh insaan ashraful makhluqaat hai or use khunkhar janvaro par bhi fazilat hasil hai or wahi asal me sabhi jangalo ka Allah ke hukm se Baadshah banaya gya hai.